Moula Haider Lyrics
Ali Ali Ali
Kaabay ka Kaaba Haider, Shaan-e-Sahaba Haider
Haider Haider Haider Haider
Tu Haider Haider bol
Imaan ko apne tol tol, yeh naara hai anmol
Haider Maula Haider Maula Haider Maula Ali Ali
Tera Rajab aur aap ki aamad ka woh manzar Maula
Bint-e-Asad jab paas aayiñ to Kaabay se Rab bola
Yeh maa hai Haider ki, malika hai is ghar ki
Khatun nahiñ yeh aisi waisi
Deewar se raasta khol
Haider Maula Haider Maula Haider Maula Ali Ali
Naara Ali ka aisa hai jo sab ke shajray kholay
Bas woh halaali hota hai jo Haider Haider bolay
Khush ho ja mere yaar, aa wajd naara maar
Deewana ban kar jhoom jhoom, tu bhi ban kar Behlool
Haider Maula Haider Maula Haider Maula Ali Ali
Kaabay ka Kaaba Haider, Shaan-e-Sahaba Haider
Haider Haider Haider Haider
Tu Haider Haider bol
Dil se Ali ko maan le Maula
Baatein na kar farzi
Bugz-e-Ali se rakhna hai to rakh le
Teri marzi, hoga tera chalaan
La‘nat tujh par, shaitaan hoga tera chalaan
Bach jaayega aisay kaisay tu, yeh duniya hai gol
Haider Maula Haider Maula Haider Maula Ali Ali
Ab bhi sada-e-Sabt-e-Jafar goonj rahi hai har so
Duniya daari ke chakkar mein mat hona be-qaabu
Yeh ishq ki masti hai, deewanon ki basti hai
Baaz aa ja meri jaan, maan laalach na is mein ghol
Haider Maula Haider Maula Haider Maula Ali Ali
Kaabay ka Kaaba Haider, Shaan-e-Sahaba Haider
Haider Haider Haider Haider
Tu Haider Haider bol
Shah-e-Najaf ki bazm saja kar baithe hain deewane
Jashn-e-Ali hai, jhoom rahe hain masti mein mastane
Haider ka malang ban kar chal Sindh ki dharti par
Mil kar daalein dhamal, Laal ke dar pe baja kar dhol
Dama dam Mast Qalandar, Ali da pehla number
Husaini Laal Qalandar, roay dam de andar
Meri rooh ka langar, Saqi-e-Kausar, Shafi-e-Mehshar Maula
Maula meri jaan tujh pe qurbaan, bolay Shahbaz Qalandar
Darvesh bana de mujh ko bhi, Zeshan tera hai nokar Maula
Mere toote dil mein tu hi tu
Bas dekh le tera dar Maula
Dama dam Mast Qalandar, Ali da pehla number
علی علی علی
کعبے کا کعبہ حیدر شانِ صحابہ حیدر
حیدر حیدر حیدر حیدر
تُو حیدر حیدر بول
ایمان کو اپنے تول تول یہ نعرہ ہے انمول۔
حیدر مولا حیدر مولا حیدر مولا علی علی۔
تیرا رجب اور آپ کی آمد کا وہ منظر مولا
بنتِ اسد جب پاس آئیں تو کعبے سے رب بولا۔
یہ ماں ہے حیدر کی، ملکہ ہے اس گھر کی
خاتون نہیں یہ ایسی ویسی
دیوار سے راستہ کھول۔
حیدر مولا حیدر مولا حیدر مولا علی علی۔
نعرہ علی کا ایسا ہے جو سب کے شجرے کھولے
بس وہ حلالی ہوتا ہے جو حیدر حیدر بولے۔
خوش ہو جا میرے یار آ وجد نعرہ مار
دیوانہ بن کر جھوم جھوم تو بھی بن کر بہلول۔
حیدر مولا حیدر مولا حیدر مولا علی علی۔
کعبے کا کعبہ حیدر شانِ صحابہ حیدر
حیدر حیدر حیدر حیدر
تُو حیدر حیدر بول
دل سے علی کو مان لے مولا
باتیں نہ کر فرضی
بغضِ علی سے رکھنا ہے تو رکھ لے
تیری مرضی ہوگا تیرا چلان
لعنت تجھ پر شیطان ہوگا تیرا چالان
بچ جائے گا ایسے کیسے تُو یہ دنیا ہے گول۔
حیدر مولا حیدر مولا حیدر مولا علی علی۔
اب بھی صدائے سبطِ جعفر گونج رہی ہے ہر سو
دنیا داری کے چکر میں مت ہونا بے قابو۔
یہ عشق کی مستی ہے، دیوانوں کی بستی ہے
باز آجا میری جان مان لالچ نہ اس میں گھول۔
حیدر مولا حیدر مولا حیدر مولا علی علی۔
کعبے کا کعبہ حیدر شانِ صحابہ حیدر
حیدر حیدر حیدر حیدر
تُو حیدر حیدر بول
شاہِ نجف کی بزم سجا کر بیٹھے ہیں دیوانے
جشنِ علی ہے جھوم رہے ہیں مستی میں مستانے۔
حیدر کا ملنگ بن کر چل سندھ کی دھرتی پر
مل کر ڈالیں دھمال لال کے در پہ بجا کر ڈھول۔
دما دم مست قلندر، علی دا پہلا نمبر۔
حسینی لال قلندر، روے دم دے اندر
میری روح کا لنگر، ساقیِ کوثر شافیِ محشر مولا۔
مولا میری جان تجھ پہ قربان، بولے شہباز قلندر۔
درویش بنا دے مجھ کو بھی ذیشان تیرا ہے نوکر مولا
میرے ٹوٹے دل میں تو ہی تو
بس دیکھ لے تیرا در مولا۔
دما دم مست قلندر، علی دا پہلا نمبر۔
अली अली अली
काबे का काबा हैदर, शान-ए-सहाबा हैदर
हैदर हैदर हैदर हैदर
तू हैदर हैदर बोल
ईमान को अपने तौल तौल, ये नारा है अनमोल
हैदर मौला हैदर मौला हैदर मौला अली अली
तेरा रजब और आप की आमद का वो मंज़र मौला
बिन्त-ए-असद जब पास आईं तो काबे से रब बोला
ये माँ है हैदर की, मलिका है इस घर की
ख़ातून नहीं ये ऐसी वैसी
दीवार से रास्ता खोल
हैदर मौला हैदर मौला हैदर मौला अली अली
नारा अली का ऐसा है जो सब के शजरे खोले
बस वो हलाली होता है जो हैदर हैदर बोले
ख़ुश हो जा मेरे यार, आ वज्द नारा मार
दीवाना बन कर झूम झूम, तू भी बन कर बहलोल
हैदर मौला हैदर मौला हैदर मौला अली अली
काबे का काबा हैदर, शान-ए-सहाबा हैदर
हैदर हैदर हैदर हैदर
तू हैदर हैदर बोल
दिल से अली को मान ले मौला
बातें न कर फ़र्ज़ी
बुग़्ज़-ए-अली से रखना है तो रख ले
तेरी मर्ज़ी, होगा तेरा चालान
लानत तुझ पर, शैतान होगा तेरा चालान
बच जाएगा ऐसे कैसे तू, ये दुनिया है गोल
हैदर मौला हैदर मौला हैदर मौला अली अली
अब भी सदा-ए-सब्त-ए-जाफ़र गूँज रही है हर सू
दुनिया-दारी के चक्कर में मत होना बे-क़ाबू
ये इश्क़ की मस्ती है, दीवानों की बस्ती है
बाज़ आ जा मेरी जान, मान लालच न इसमें घोल
हैदर मौला हैदर मौला हैदर मौला अली अली
काबे का काबा हैदर, शान-ए-सहाबा हैदर
हैदर हैदर हैदर हैदर
तू हैदर हैदर बोल
शाह-ए-नजफ़ की बज़्म सजा कर बैठे हैं दीवाने
जश्न-ए-अली है, झूम रहे हैं मस्ती में मस्ताने
हैदर का मलंग बन कर चल सिंध की धरती पर
मिल कर डालें धमाल, लाल के दर पे बजा कर ढोल
दमा दम मस्त क़लंदर, अली दा पहला नंबर
हुसैनी लाल क़लंदर, रोए दम दे अंदर
मेरी रूह का लंगर, साक़ी-ए-कौसर, शाफ़ी-ए-महशर मौला
मौला मेरी जान तुझ पे क़ुर्बान, बोले शहबाज़ क़लंदर
दरवेश बना दे मुझ को भी, ज़ैशान तेरा है नौकर मौला
मेरे टूटे दिल में तू ही तू
बस देख ले तेरा दर मौला
दमा दम मस्त क़लंदर, अली दा पहला नंबर
Moula Haider (a.s) Manqabat
Title: Moula Haider (a.s)
Recitor: Shahid Baltistani
Poet: Janab Zeeshan Abidi
Composition: Munawar Ali Khan, Rajab Ali Khan, Ammanat Ali Khan & Ghulam Abbas Khan
Audio: Air Studio
Video: SRS Production
Translation: Syed Mohsin Rizvi USA
Album: 13 Rajab // 2025-26
Released on: Shahid Baltistani
Releasing Date: 29, December, 2025
Poetry Explaination
Maula Ali (a.s.) ko "Kaabe ka Kaaba" kaha gaya hai kyunke unki wiladat Khana-e-Kaaba ke andar hui. Unhein "Shan-e-Sahaba" keh kar unki us azmat ko bayan kiya gaya hai jo sahaba-e-karam ke darmiyan unhein hasil thi. Shayer kehta hai ke agar koi apna Iman tolna (test karna) chahta hai, to woh "Haider Haider" ka anmol nara lagaye.
Poetry mein 13 Rajab ke us manzar ka zikr hai jab Bibi Bint-e-Asad (a.s.) (Imam Ali ki walida) Kaaba ke paas aayin. Us waqt Allah ne hukum diya ke deewar rasta khol de, kyunke yeh aam khatoon nahi balkay Haider ki ma aur is ghar ki malka hain. Yeh hissa Maula Ali (a.s.) ke makhsoos martabay ko wazeh karta hai ke unke liye Kaabe ki deewar shaq hui.
Ek aham nuqta yeh bayan kiya gaya hai ke Ali (a.s.) ka nara logon ke shajray (nasab) zahir kar deta hai. Shayer ke mutabiq, Maula Ali ka naam wahi leta hai jo "halali" ho, aur unka zikr karne walon ko Behlol ki tarah ishq mein jhoomne ki naseehat ki gayi hai.
mein un logon ko sakht alfaaz mein khabardaar kiya gaya hai jo Maula Ali se bughz (dushmani) rakhte hain. Aise logon ke liye "lanat" aur Shaitan ka sath hone ka zikr hai. Mazeed yeh ke Ustad Sibte Jaffar (shaheed) ki sada ka zikr karte hue kaha gaya hai ke duniyadari aur lalach ke chakkar mein par kar is ishq ki masti ko kamzor mat hone do.
Manqabat ke aakhir mein Shah-e-Najaf ke jashn ko Sindh ki sabaqfat se jora gaya hai. Shayer kehta hai ke Haider ka malang ban kar Sindh ki dharti par jao aur Lal Shahbaz Qalandar ke dar par dhol baja kar dhamaal dalo. Yahan "Ali da pehla number" ka nara unki afzaliyat (priority) ko zahir karta hai.
Zeeshan (poet) apne aap ko Maula ka naukar kehte hue dua karta hai ke usay darvesh bana diya jaye aur uske tootay hue dil mein hamesha Maula ka hi zikr rahe.
Note: Ustad Sibte Jaffar ek maroof shayer aur aalim thay jinhein unke aqeeday ki bina par shaheed kiya gaya tha; sources mein unka zikr isi pur-asar legacy ke taur par kiya gaya hai.
